koi rutba to koi nam-nasab puchhta hai
koī rutba to koī nām-nasab pūchhtā hai
ab jahāñ meñ koī kirdār kā kab pūchhtā hai
tū ne kis darja nibhāyā hai parastish kā nizām
chāhe pūchhe na kabhī koī vo rab pūchhtā hai
chhīn letā hai vo pahle mirī ḳhushiyoñ kī vaj.h
aur phir mujh se mire ġham kā sabab pūchhtā hai
siskiyāñ ghol ke ashkoñ ko nigalne kā hunar
maano mat maano har ik jashn-e-tarab pūchhtā hai
vo javāboñ meñ bhale de na sake koī javāb
par savāloñ pe savālāt ġhazab pūchhtā hai
saarī duniyā kī sunātā hai mujhe mere sivā
aur phir haal mirā chhoḌ ke sab pūchhtā hai
huuñ vo lāchār sitam jis ko duā.eñ DhūñDeñ
huuñ vo bīmār maraz jis ko matab pūchhtā hai
pūchh letā hai dil-o-zehn kī saarī bāteñ
pūchhne vaalī magar baat vo kab pūchhtā hai
pās-e-ġhairat hai na 'nāyāb' anā kā hai lihāz
chal nikaltā huuñ mirā naam vo jab pūchhtā hai
koi rutba to koi nam-nasab puchhta hai
ab jahan mein koi kirdar ka kab puchhta hai
tu ne kis darja nibhaya hai parastish ka nizam
chahe puchhe na kabhi koi wo rab puchhta hai
chhin leta hai wo pahle meri KHushiyon ki wajh
aur phir mujh se mere gham ka sabab puchhta hai
siskiyan ghol ke ashkon ko nigalne ka hunar
mano mat mano har ek jashn-e-tarab puchhta hai
wo jawabon mein bhale de na sake koi jawab
par sawalon pe sawalat ghazab puchhta hai
sari duniya ki sunata hai mujhe mere siwa
aur phir haal mera chhoD ke sab puchhta hai
hun wo lachaar sitam jis ko duaen DhunDen
hun wo bimar maraz jis ko matab puchhta hai
puchh leta hai dil-o-zehn ki sari baaten
puchhne wali magar baat wo kab puchhta hai
pas-e-ghairat hai na 'nayab' ana ka hai lihaz
chal nikalta hun mera nam wo jab puchhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.