koi sathi na koi hamdam-o-gham-KHwar main tanha
koi sathi na koi hamdam-o-gham-KHwar main tanha
Ghulam Mustafa Faraz
MORE BYGhulam Mustafa Faraz
koī sāthī na koī hamdam-o-ġham-ḳhvār maiñ tanhā
fazā meñ tairtī vīrānī-e-shab-tār maiñ tanhā
bisāt itnī kahāñ mujh meñ tirī qudrat ko maiñ samjhūñ
zamīñ-tā-āsmāñ phaile tire aqdār maiñ tanhā
naqīb-e-sub.h tere haath ab kuchh bhī na aa.egā
savād-e-shab meñ sar-basta mire asrār maiñ tanhā
ḳhamīr-e-ādam-e-ḳhāKī meñ Dhal kar yaas kī sūrat
uThā.e huuñ azal se bār-e-yak-inkār maiñ tanhā
har ik chehre ke pīchhe mun'akis haiñ saiñkaḌoñ chehre
kahīñ gum ho na jā.ūñ ā.ina-bardār maiñ tanhā
taġhayyur kī sadā.eñ aa rahī thiiñ har darīche se
bachātā kis tarah girtī huī dīvār maiñ tanhā
koi sathi na koi hamdam-o-gham-KHwar main tanha
faza mein tairti virani-e-shab-tar main tanha
bisat itni kahan mujh mein teri qudrat ko main samjhun
zamin-ta-asman phaile tere aqdar main tanha
naqib-e-subh tere hath ab kuchh bhi na aaega
sawad-e-shab mein sar-basta mere asrar main tanha
KHamir-e-adam-e-KHaKi mein Dhal kar yas ki surat
uThae hun azal se bar-e-yak-inkar main tanha
har ek chehre ke pichhe mun'akis hain sainkaDon chehre
kahin gum ho na jaun aaina-bardar main tanha
taghayyur ki sadaen aa rahi thin har dariche se
bachata kis tarah girti hui diwar main tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.