koi saya na shajar yaad aaya
koī saaya na shajar yaad aayā
thak ga.e paañv to ghar yaad aayā
khil uThe phuul se sahrāoñ meñ
phir vo firdaus-e-nazar yaad aayā
phir mire paañv meñ zanjīr paḌī
phir tirā hukm-e-safar yaad aayā
lauT jaane ko bahut dil machlā
kyā pas-e-gard-e-safar yaad aayā
saarī ummīdoñ ne dam toḌ diyā
naḳhl-e-be-barg-o-samar yaad aayā
laakh chāhā thā ki vo chashm-e-ġhazāl
phir na yaad aa.e magar yaad aayā
ḳhvāb aur ālam-e-bedārī meñ
ret par ret kā ghar yaad aayā
marsiya din kā likhā thā 'rāshid'
shab ko unvān-e-sahar yaad aayā
koi saya na shajar yaad aaya
thak gae panw to ghar yaad aaya
khil uThe phul se sahraon mein
phir wo firdaus-e-nazar yaad aaya
phir mere panw mein zanjir paDi
phir tera hukm-e-safar yaad aaya
lauT jaane ko bahut dil machla
kya pas-e-gard-e-safar yaad aaya
sari ummidon ne dam toD diya
naKHl-e-be-barg-o-samar yaad aaya
lakh chaha tha ki wo chashm-e-ghazal
phir na yaad aae magar yaad aaya
KHwab aur aalam-e-bedari mein
ret par ret ka ghar yaad aaya
marsiya din ka likha tha 'rashid'
shab ko unwan-e-sahar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.