koi saya sa lipaT jata hai dil se aa kar
koī saaya sā lipaT jaatā hai dil se aa kar
khiḌkiyāñ kholnī paḌtī haiñ mujhe ghabrā kar
be-samar peḌoñ kī ḳhvāhish bhī ajab ḳhvāhish hai
biij botī huuñ kahīñ aur se miTTī lā kar
ḳhaak par phuul jo khiltā hai to maiñ sochtī huuñ
koī ḳhush hotā thā ik rang mujhe pahnā kar
apne gahnoñ meñ kisī aur kā chehra dekhā
zindagī mujh pe hañsī mere hī ghar meñ aa kar
jaise duniyā se bahut duur chalī aa.ī huuñ
mutma.in rahtī huuñ ik jhuuT se jī bahlā kar
koi saya sa lipaT jata hai dil se aa kar
khiDkiyan kholni paDti hain mujhe ghabra kar
be-samar peDon ki KHwahish bhi ajab KHwahish hai
bij boti hun kahin aur se miTTi la kar
KHak par phul jo khilta hai to main sochti hun
koi KHush hota tha ek rang mujhe pahna kar
apne gahnon mein kisi aur ka chehra dekha
zindagi mujh pe hansi mere hi ghar mein aa kar
jaise duniya se bahut dur chali aai hun
mutmain rahti hun ek jhuT se ji bahla kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.