koi sach bol kar sham-o-sahar chup-chap rahta hai
koī sach bol kar shām-o-sahar chup-chāp rahtā hai
koī sachchā.ī se muñh moḌ kar chup-chāp rahtā hai
vo jis kī guftugū par jaan detī hai har ik mahfil
pahuñchtā hai vahī jab apne ghar chup-chāp rahtā hai
hamesha be-hunar karte haiñ be-sar-pair kī bāteñ
magar jis meñ bhī ho koī hunar chup-chāp rahtā hai
chhupī rahtī haiñ kitnī dāstāneñ ik ḳhamoshī meñ
koī insān kyā kyā soch kar chup-chāp rahtā hai
na ho jis ko pasand apnī safā.ī meñ bhī kuchh kahnā
vo nīchī kar ke āñkheñ umr bhar chup-chāp rahtā hai
haiñ ab bhī shahr meñ do-chār ghar aise jahāñ 'shāhid'
baḌe būḌhoñ ke aage ghar kā ghar chup-chāp rahtā hai
koi sach bol kar sham-o-sahar chup-chap rahta hai
koi sachchai se munh moD kar chup-chap rahta hai
wo jis ki guftugu par jaan deti hai har ek mahfil
pahunchta hai wahi jab apne ghar chup-chap rahta hai
hamesha be-hunar karte hain be-sar-pair ki baaten
magar jis mein bhi ho koi hunar chup-chap rahta hai
chhupi rahti hain kitni dastanen ek KHamoshi mein
koi insan kya kya soch kar chup-chap rahta hai
na ho jis ko pasand apni safai mein bhi kuchh kahna
wo nichi kar ke aankhen umr bhar chup-chap rahta hai
hain ab bhi shahr mein do-chaar ghar aise jahan 'shahid'
baDe buDhon ke aage ghar ka ghar chup-chap rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.