koi samajhta hai sare kahan samajhte hain
koī samajhtā hai saare kahāñ samajhte haiñ
tamām log ishāre kahāñ samajhte haiñ
kisī ke ishq meñ bahtī nadī kī majbūrī
shadīd pyaas ke maare kahāñ samajhte haiñ
na jaane kaun sā lamha zamīñ pe le aa.e
falak pe jhūmte taare kahāñ samajhte haiñ
bas itnā soch ke kashtī meñ bhar liyā paanī
nadī kā dard kināre kahāñ samajhte haiñ
sulagte sahrā meñ bhaTkā huā musāfir huuñ
mujhe chaman ke nazāre kahāñ samajhte haiñ
ham aise logoñ se pūchho maqām kī qīmat
jinheñ mile hoñ sahāre kahāñ samajhte haiñ
koi samajhta hai sare kahan samajhte hain
tamam log ishaare kahan samajhte hain
kisi ke ishq mein bahti nadi ki majburi
shadid pyas ke mare kahan samajhte hain
na jaane kaun sa lamha zamin pe le aae
falak pe jhumte tare kahan samajhte hain
bas itna soch ke kashti mein bhar liya pani
nadi ka dard kinare kahan samajhte hain
sulagte sahra mein bhaTka hua musafir hun
mujhe chaman ke nazare kahan samajhte hain
hum aise logon se puchho maqam ki qimat
jinhen mile hon sahaare kahan samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.