koi samjha nahin lagi dil ki
koī samjhā nahīñ lagī dil kī
baat dil meñ sadā rahī dil kī
kitne nāyāb ho ga.e vo log
jo duā lete the dukhī dil kī
muflisī meñ bhī din kaTeñ achchhe
ho jo hāsil tavangarī dil kī
un diyoñ ko bhī to karo raushan
duur kar deñ jo tīrgī dil kī
dil na chhoḌe use kahīñ kā bhī
baat maane jo aadmī dil kī
dost samjhā diyoñ kā āñdhī ko
aur kyā hogī sādgī dil kī
shahr sajte rahe magar 'hātif'
bazm suunī paḌī rahī dil kī
koi samjha nahin lagi dil ki
baat dil mein sada rahi dil ki
kitne nayab ho gae wo log
jo dua lete the dukhi dil ki
muflisi mein bhi din kaTen achchhe
ho jo hasil tawangari dil ki
un diyon ko bhi to karo raushan
dur kar den jo tirgi dil ki
dil na chhoDe use kahin ka bhi
baat mane jo aadmi dil ki
dost samjha diyon ka aandhi ko
aur kya hogi sadgi dil ki
shahr sajte rahe magar 'hatif'
bazm suni paDi rahi dil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.