koi samjhae mujhko aur kya hai
koī samjhā.e mujh ko aur kyā hai
mire nazdīk duniyā ġham-kada hai
ajal manzil hai na hī raah manzil
yahāñ se zindagī kī ibtidā hai
qasam sayyād ke jaur-o-sitam kī
nasheman kā yahī tinkā milā hai
dhuāñ sā hai mire tinkoñ kī jānib
nasheman dekhiye kis kā jalā hai
adab se chūmiye 'ālam' adab se
ki ye ḳhāk-e-dayār-e-mustafā hai
koi samjhae mujh ko aur kya hai
mere nazdik duniya gham-kada hai
ajal manzil hai na hi rah manzil
yahan se zindagi ki ibtida hai
qasam sayyaad ke jaur-o-sitam ki
nasheman ka yahi tinka mila hai
dhuan sa hai mere tinkon ki jaanib
nasheman dekhiye kis ka jala hai
adab se chumiye 'alam' adab se
ki ye KHak-e-dayar-e-mustafa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.