koi sawal sitara sa aasman mein tha
koī savāl sitāra sā āsmān meñ thā
tamām raat ye dil saḳht imtihān meñ thā
sukūñ-sarāb zamīñ meñ jhulas gayā thā badan
na jaane kaun dhanak-rang sā.ebān meñ thā
zarā sā dam na liyā thā ki muñd ga.iiñ āñkheñ
maiñ us safar se palaT kar ajab takān meñ thā
vo jaate jaate achānak muḌā jo merī taraf
maiñ dam-ba-ḳhud thā ki phir kuchh na darmiyān meñ thā
use bhulāyā to apnā vajūd bhī na rahā
ki merā saarā asāsa usī makān meñ thā
koi sawal sitara sa aasman mein tha
tamam raat ye dil saKHt imtihan mein tha
sukun-sarab zamin mein jhulas gaya tha badan
na jaane kaun dhanak-rang saeban mein tha
zara sa dam na liya tha ki mund gain aankhen
main us safar se palaT kar ajab takan mein tha
wo jate jate achanak muDa jo meri taraf
main dam-ba-KHud tha ki phir kuchh na darmiyan mein tha
use bhulaya to apna wajud bhi na raha
ki mera sara asasa usi makan mein tha
- Book : غبار حیرانی (Pg. 73)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.