koi shai ye nagar khone chala hai
koī shai ye nagar khone chalā hai
yahāñ par kuchh na kuchh hone chalā hai
koī roke unheñ mahfūz kar le
mirā qātil nishāñ dhone chalā hai
diloñ meñ ḳhauf baḌhte jā rahe haiñ
na-jāne kyā se kyā hone chalā hai
nahīñ pighlī agarche mom huuñ maiñ
vo patthar hai magar rone chalā hai
ḳhudāyā fasl ye kaTne na paa.e
vo kāñTe raah meñ bone chalā hai
koi shai ye nagar khone chala hai
yahan par kuchh na kuchh hone chala hai
koi roke unhen mahfuz kar le
mera qatil nishan dhone chala hai
dilon mein KHauf baDhte ja rahe hain
na-jaane kya se kya hone chala hai
nahin pighli agarche mom hun main
wo patthar hai magar rone chala hai
KHudaya fasl ye kaTne na pae
wo kanTe rah mein bone chala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.