koi shikwa hai kahan be-sar-o-samani ka
koī shikva hai kahāñ be-sar-o-sāmānī kā
is meñ bhī raaz nihāñ hai koī āsānī kā
ba.az auqāt tamannā.eñ bhī mar jaatī haiñ
ik azaab aisā bhī hotā hai farāvānī kā
bas yuuñ hī shaam se hai dil mirā bechain bahut
nahīñ koī bhī sabab merī pareshānī kā
mutma.in huuñ maiñ agar chhoḌ ke duniyā terī
tiir kyoñ siine meñ lagtā hai pashemānī kā
gum huā aa ke yahāñ jab to bahut pachhtāyā
use andāza na thā dil kī bayābānī kā
koi shikwa hai kahan be-sar-o-samani ka
is mein bhi raaz nihan hai koi aasani ka
baz auqat tamannaen bhi mar jati hain
ek azab aisa bhi hota hai farawani ka
bas yun hi sham se hai dil mera bechain bahut
nahin koi bhi sabab meri pareshani ka
mutmain hun main agar chhoD ke duniya teri
tir kyon sine mein lagta hai pashemani ka
gum hua aa ke yahan jab to bahut pachhtaya
use andaza na tha dil ki bayabani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.