koi sitara-e-shab ya ghubar tha wo bhi
koī sitāra-e-shab yā ġhubār thā vo bhī
zamīñ pe nāz-e-falak kā shumār thā vo bhī
maiñ reza reza zamīñ par magar varā-e-zamīñ
numūd-e-pairahan-e-tār-tār thā vo bhī
sināñ-ba-dast jo aayā vo dasta-e-gul thā
jo lāla-rū thā so amboh-e-ḳhār thā vo bhī
vo paḌ gayā thā magar ranj-e-nā-gahānī meñ
girah-kushā gila-e-sāz-gār thā vo bhī
usī se ḳhaak meñ ra.anā.ī-e-tajammul hai
zamīñ pe jhuktā huā kohsār thā vo bhī
kisī pe jam ga.ī chashm-e-gurez-pā āḳhir
'ajīb lamha-e-be-iḳhtiyār thā vo bhī
koi sitara-e-shab ya ghubar tha wo bhi
zamin pe naz-e-falak ka shumar tha wo bhi
main reza reza zamin par magar wara-e-zamin
numud-e-pairahan-e-tar-tar tha wo bhi
sinan-ba-dast jo aaya wo dasta-e-gul tha
jo lala-ru tha so amboh-e-KHar tha wo bhi
wo paD gaya tha magar ranj-e-na-gahani mein
girah-kusha gila-e-saz-gar tha wo bhi
usi se KHak mein ranai-e-tajammul hai
zamin pe jhukta hua kohsar tha wo bhi
kisi pe jam gai chashm-e-gurez-pa aaKHir
'ajib lamha-e-be-iKHtiyar tha wo bhi
- Book : Qafas-e-Rang (Pg. 62)
- Author : Sayed Ameen Ashraf
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.