koi sitara jabin koi mah ru bhi nahin
koī sitāra jabīñ koī maah rū bhī nahīñ
ilāj-e-vahshat-e-dil sāġhar-o-subū bhī nahīñ
kareñ na ahl-e-chaman par vo tabsira jin ko
shu.ūr-e-mausam-o-tam.īz-e-rañg-o-bū bhī nahīñ
nahīñ hai koī ināñ-gīr-e-rāhvār-e-junūñ
libās-e-aql meñ gunjā.ish-e-rafū bhī nahīñ
na jaane kis liye ghar se nikalte Dartā huuñ
agarche shahr meñ koī mirā adū bhī nahīñ
ye kyā ki ruuTh ga.ī mujh se zindagī merī
ki dil meñ dard nahīñ aañkh meñ lahū bhī nahīñ
ye soch le na huā dast-kash sitam se agar
to is ke ba.ad rahegā sakūñ se tū bhī nahīñ
zamāna ḳhud bhī girāñ-gosh ho gayā hai magar
maiñ kyā karūñ ki ḳhushāmad kī mujh ko ḳhū bhī nahīñ
dil-o-nazar haiñ munavvar jamāl se jis ke
kamāl ye hai ki vo mere rū-ba-rū bhī nahīñ
rahā hī kyā mirī kisht-e-hayāt meñ 'at.har'
ab is zamīñ meñ namī bhī nahīñ numū bhī nahīñ
koi sitara jabin koi mah ru bhi nahin
ilaj-e-wahshat-e-dil saghar-o-subu bhi nahin
karen na ahl-e-chaman par wo tabsira jin ko
shuur-e-mausam-o-tamiz-e-rang-o-bu bhi nahin
nahin hai koi inan-gir-e-rahwar-e-junun
libas-e-aql mein gunjaish-e-rafu bhi nahin
na jaane kis liye ghar se nikalte Darta hun
agarche shahr mein koi mera adu bhi nahin
ye kya ki ruTh gai mujh se zindagi meri
ki dil mein dard nahin aankh mein lahu bhi nahin
ye soch le na hua dast-kash sitam se agar
to is ke baad rahega sakun se tu bhi nahin
zamana KHud bhi giran-gosh ho gaya hai magar
main kya karun ki KHushamad ki mujh ko KHu bhi nahin
dil-o-nazar hain munawwar jamal se jis ke
kamal ye hai ki wo mere ru-ba-ru bhi nahin
raha hi kya meri kisht-e-hayat mein 'athar'
ab is zamin mein nami bhi nahin numu bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.