koi subut na hoga tumhaare hone ka
koī subūt na hogā tumhāre hone kā
na aayā fan jo qalam ḳhuun meñ Dubone kā
har ek baat pe bas qahqahe baraste haiñ
ye tarz kitnā nirālā hai dil ke rone kā
shurū tum ne kiyā thā tumheñ bhugatnā hai
jo silsila thā ġhalat-fahmiyoñ ko bone kā
shanāḳht ho to ga.ī apne aur parā.e kī
nahīñ hai ġham mujhe umr-e-azīz khone kā
'ra.īs' fikr-e-suḳhan raat bhar jagātī hai
koī bhī vaqt muqarrar nahīñ hai sone kā
koi subut na hoga tumhaare hone ka
na aaya fan jo qalam KHun mein Dubone ka
har ek baat pe bas qahqahe baraste hain
ye tarz kitna nirala hai dil ke rone ka
shuru tum ne kiya tha tumhein bhugatna hai
jo silsila tha ghalat-fahmiyon ko bone ka
shanaKHt ho to gai apne aur parae ki
nahin hai gham mujhe umr-e-aziz khone ka
'rais' fikr-e-suKHan raat bhar jagati hai
koi bhi waqt muqarrar nahin hai sone ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.