koi sukun ki rah nahin hai
koī sukūñ kī raah nahīñ hai
lekin lab par aah nahīñ hai
dār-o-rasan kā zikr na chheḌo
ġham se dil āgāh nahīñ hai
vaqt baḌā jallād hai logo
phir bhī ye jāñkāh nahīñ hai
fikr nahīñ jo raah meñ apnā
koī agar hamrāh nahīñ hai
zarra zarra maz.har un kā
tuur hī jalva-gāh nahīñ hai
azm-e-musammam hai to 'kalīm' ab
duur tajallī-gāh nahīñ hai
koi sukun ki rah nahin hai
lekin lab par aah nahin hai
dar-o-rasan ka zikr na chheDo
gham se dil aagah nahin hai
waqt baDa jallad hai logo
phir bhi ye jaankah nahin hai
fikr nahin jo rah mein apna
koi agar hamrah nahin hai
zarra zarra mazhar un ka
tur hi jalwa-gah nahin hai
azm-e-musammam hai to 'kalim' ab
dur tajalli-gah nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.