koi sune na sune kar de an-suni dastak
koī sune na sune kar de an-sunī dastak
har ik makān pe detī hai raushnī dastak
ragoñ meñ ātish-e-sayyāl ban ke dauḌtī hai
badan meñ aag lagā detī hai tirī dastak
samā.atoñ ne mirī hādsoñ kī bastī meñ
sunī hai ḳhauf kī ThanDak se kāñptī dastak
baḌhe jo aage to par jal ke ḳhaak ho jaa.eñ
junūñ ke dar pe nahīñ detī āgahī dastak
ḳhizāñ ke lab pe bahāroñ kā naġhma jaag uThā
ajab adā se dar-e-dil pe dī ga.ī dastak
jhulastī jaltī huī dopahar ke mausam meñ
sukūñ ko aag lagātī hai sar-phirī dastak
jo zindagī kā mirī ruḳh badal ga.ī 'yāvar'
sunī nahīñ hai bahut din se vo na.ī dastak
koi sune na sune kar de an-suni dastak
har ek makan pe deti hai raushni dastak
ragon mein aatish-e-sayyal ban ke dauDti hai
badan mein aag laga deti hai teri dastak
samaaton ne meri hadson ki basti mein
suni hai KHauf ki ThanDak se kanpti dastak
baDhe jo aage to par jal ke KHak ho jaen
junun ke dar pe nahin deti aagahi dastak
KHizan ke lab pe bahaaron ka naghma jag uTha
ajab ada se dar-e-dil pe di gai dastak
jhulasti jalti hui dopahar ke mausam mein
sukun ko aag lagati hai sar-phiri dastak
jo zindagi ka meri ruKH badal gai 'yawar'
suni nahin hai bahut din se wo nai dastak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.