koi surat koi tadbir nikali jae
koi surat koi tadbir nikali jae
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi
koī sūrat koī tadbīr nikālī jaa.e
aabrū ishq-o-mohabbat kī bachā lī jaa.e
kaun detā hai vafāoñ kā vafāoñ se javāb
ab to behtar hai ki ye rasm uThā lī jaa.e
fī-zamāna hai yahī maslahat-e-aql-o-shu.ūr
dil meñ ḳhvāhish koī ubhre to dabā lī jaa.e
sāmne bachchoñ ke doharāo na pichhle jhagḌe
nanhe zehnoñ meñ ye buniyād na Daalī jaa.e
mashvara merā bas itnā hai na.ī nasloñ ko
apne ajdād kī pagḌī na uchhālī jaa.e
mere allāh mujhe itnā tavangar kar de
dar se mere kabhī ḳhālī na savālī jaa.e
koī miltā hī nahīñ vāqif-e-ādāb-e-junūñ
ab to bastī hī alag apnī basā lī jaa.e
us taraf vo to idhar ham haiñ pareshāñ 'bebāk'
ḳhvāhish-e-dīd kisī taur na Taalī jaa.e
koi surat koi tadbir nikali jae
aabru ishq-o-mohabbat ki bacha li jae
kaun deta hai wafaon ka wafaon se jawab
ab to behtar hai ki ye rasm uTha li jae
fi-zamana hai yahi maslahat-e-aql-o-shuur
dil mein KHwahish koi ubhre to daba li jae
samne bachchon ke doharao na pichhle jhagDe
nanhe zehnon mein ye buniyaad na Dali jae
mashwara mera bas itna hai nai naslon ko
apne ajdad ki pagDi na uchhaali jae
mere allah mujhe itna tawangar kar de
dar se mere kabhi KHali na sawali jae
koi milta hi nahin waqif-e-adab-e-junun
ab to basti hi alag apni basa li jae
us taraf wo to idhar hum hain pareshan 'bebak'
KHwahish-e-did kisi taur na Tali jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.