koi tabir mere KHwab mein dar aai hai
koī tā'bīr mire ḳhvāb meñ dar aa.ī hai
jal-parī jis tarah tālāb meñ dar aa.ī hai
kyā zamīñ aur zamāne kā safar thā dushvār
kyoñ thakan vaqt ke ā'sāb meñ dar aa.ī hai
dekhtā rahtā huuñ maiñ jānib-e-aflāk ki ab
us kī sūrat bhī to mahtāb meñ dar aa.ī hai
baat meñ zahr milāyā hai isī duurī ne
talḳhī-e-hijr adab-ādāb meñ dar aa.ī hai
ye nadī jis meñ mirī bastiyāñ bah jā.eñgī
hai ye sailāb ki sailāb meñ dar aa.ī hai
vo ghaḌī jis ne baḌhāyā hai mohabbat kā vaqār
dekh le ab tire 'zahrāb' meñ dar aa.ī hai
koi ta'bir mere KHwab mein dar aai hai
jal-pari jis tarah talab mein dar aai hai
kya zamin aur zamane ka safar tha dushwar
kyon thakan waqt ke aa'sab mein dar aai hai
dekhta rahta hun main jaanib-e-aflak ki ab
us ki surat bhi to mahtab mein dar aai hai
baat mein zahr milaya hai isi duri ne
talKHi-e-hijr adab-adab mein dar aai hai
ye nadi jis mein meri bastiyan bah jaengi
hai ye sailab ki sailab mein dar aai hai
wo ghaDi jis ne baDhaya hai mohabbat ka waqar
dekh le ab tere 'zahrab' mein dar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.