koi tara na dikha sham ki virani mein
koī taara na dikhā shaam kī vīrānī meñ
yaad aa.egā bahut be-sar-o-sāmānī meñ
dam-ba-ḳhud rah gayā vo pursish-e-hālāt ke baa'd
aa.ina ho ga.ī maiñ ālam-e-hairānī meñ
dil salāmat rahe tūfāñ se tasādum meñ magar
haath se chhūT gayā haath pareshānī meñ
sahl kartī maiñ taḳhātub meñ mukarnā tujh se
mushkileñ aur thiiñ is raah kī āsānī meñ
ab tirī yaad jo aa.e bhī to yuuñ aatī hai
jaise kāġhaz kī koī naav chale paanī meñ
aise 'ālam meñ mirī niiñd kā aaseb na pūchh
ḳhvāb māñge haiñ tirī chashm kī nigarānī meñ
khīñch rakhtī hai mire paañv ko dahlīz talak
koī zanjīr hai is ghar kī nigahbānī meñ
koi tara na dikha sham ki virani mein
yaad aaega bahut be-sar-o-samani mein
dam-ba-KHud rah gaya wo pursish-e-haalat ke ba'd
aaina ho gai main aalam-e-hairani mein
dil salamat rahe tufan se tasadum mein magar
hath se chhuT gaya hath pareshani mein
sahl karti main taKHatub mein mukarna tujh se
mushkilen aur thin is rah ki aasani mein
ab teri yaad jo aae bhi to yun aati hai
jaise kaghaz ki koi naw chale pani mein
aise 'alam mein meri nind ka aaseb na puchh
KHwab mange hain teri chashm ki nigarani mein
khinch rakhti hai mere panw ko dahliz talak
koi zanjir hai is ghar ki nigahbani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.