koi tara kahin mahtab se milta-julta
koī taarā kahīñ mahtāb se miltā-jultā
yahī manzar hai mire ḳhvāb se miltā-jultā
ghar muzayyan hai to phir sahn bhī ḳhālī kyuuñ ho
kyuuñ nahīñ apne meñ ahbāb se miltā-jultā
rau maiñ bahtā huuñ to hotī hai ragoñ meñ halchal
jaane kyā mujh meñ hai sailāb se miltā-jultā
qatra-e-surḳh meñ jab ḳhuun kī tāsīr nahīñ
kyā hai phir jism meñ tezāb se miltā-jultā
āsmāñ mujh se chhupātā hai koī sachchā.ī
yā koī vahm hai is ḳhvāb se miltā-jultā
kis haqīqat ko chhupātī haiñ nigāheñ 'rāhat'
ret hai yā ki sarāb aab se miltā-jultā
koi tara kahin mahtab se milta-julta
yahi manzar hai mere KHwab se milta-julta
ghar muzayyan hai to phir sahn bhi KHali kyun ho
kyun nahin apne mein ahbab se milta-julta
rau main bahta hun to hoti hai ragon mein halchal
jaane kya mujh mein hai sailab se milta-julta
qatra-e-surKH mein jab KHun ki tasir nahin
kya hai phir jism mein tezab se milta-julta
aasman mujh se chhupata hai koi sachchai
ya koi wahm hai is KHwab se milta-julta
kis haqiqat ko chhupati hain nigahen 'rahat'
ret hai ya ki sarab aab se milta-julta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.