koi taza ho ki ho koi purani chahiye
koi taza ho ki ho koi purani chahiye
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
koī taaza ho ki ho koī purānī chāhiye
vaqt ko aage baḌhānā hai kahānī chāhiye
tū mirī dahlīz par aa kar Thahar jaatā hai kyoñ
tū to dariyā hai tujhe to bas ravānī chāhiye
haath meñ jis ke bhī dekho aag kā kashkol hai
aur har ik kashkol ko kuchh buuñd paanī chāhiye
zindagī aur maut donoñ meñ hai ik rañg-e-karam
tum batāo tum ko kis kī mehrbānī chāhiye
dil se matlab hai tire paikar se mujh ko kyā ġharaz
hukmarānī ko mujhe ik rājdhānī chāhiye
koi taza ho ki ho koi purani chahiye
waqt ko aage baDhana hai kahani chahiye
tu meri dahliz par aa kar Thahar jata hai kyon
tu to dariya hai tujhe to bas rawani chahiye
hath mein jis ke bhi dekho aag ka kashkol hai
aur har ek kashkol ko kuchh bund pani chahiye
zindagi aur maut donon mein hai ek rang-e-karam
tum batao tum ko kis ki mehrbani chahiye
dil se matlab hai tere paikar se mujh ko kya gharaz
hukmarani ko mujhe ek rajdhani chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.