koi tanz mat kar hamari thakan par
koī tanz mat kar hamārī thakan par
yahī qaum haiñ mar-miTī jo vatan par
kisī kaam kā jab rahā hī nahīñ to
chalo fātiha paḌh leñ sansad bhavan par
na ho ḳhūbsūrat na ḳhushbū bikhere
ye kaisī hai bandish gulāb-o-saman par
zarā bolnā phir zarā sā tavaqquf
ye lahja saje hai tire bāñkpan par
mujhe lag rahā thā use ranj hogā
shikan tak na aa.ī thī va.ada-shikan par
the mahfil meñ vaise to chehre bahut par
sabhī kī nazar thī hamāre sajan par
hai itnī hasīñ vo parī-zād haa.e
sitāre kareñ raqs us ke badan par
jo bhī mar ga.e hoñ vabā ke sitam se
likho ma.azarat ḳhuuñ se un ke kafan par
mire jism kī ḳhaak se khil ga.e gul
ye ehsān 'tausīf' kā hai chaman par
koi tanz mat kar hamari thakan par
yahi qaum hain mar-miTi jo watan par
kisi kaam ka jab raha hi nahin to
chalo fatiha paDh len sansad bhawan par
na ho KHubsurat na KHushbu bikhere
ye kaisi hai bandish gulab-o-saman par
zara bolna phir zara sa tawaqquf
ye lahja saje hai tere bankpan par
mujhe lag raha tha use ranj hoga
shikan tak na aai thi wada-shikan par
the mahfil mein waise to chehre bahut par
sabhi ki nazar thi hamare sajan par
hai itni hasin wo pari-zad hae
sitare karen raqs us ke badan par
jo bhi mar gae hon waba ke sitam se
likho mazarat KHun se un ke kafan par
mere jism ki KHak se khil gae gul
ye ehsan 'tausif' ka hai chaman par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.