koi tarkib lao hal ke liye
koī tarkīb laao hal ke liye
ai masīhā-e-jāñ ajal ke liye
saat sau vā'de kar liye lekin
nahīñ hai vaqt ek pal ke liye
chāhiye ek pyaar kī kanghī
zindagānī ke saḳht bal ke liye
aate aate bhaTak gayā hai kahīñ
kul-jahāñ muntazir hai kal ke liye
jitne shā'ir haiñ 'jānifā' mire paas
utne mazmūn haiñ ġhazal ke liye
ham ko darkār ek shahzādī
dil ke sab se barīñ mahal ke liye
koi tarkib lao hal ke liye
ai masiha-e-jaan ajal ke liye
sat sau wa'de kar liye lekin
nahin hai waqt ek pal ke liye
chahiye ek pyar ki kanghi
zindagani ke saKHt bal ke liye
aate aate bhaTak gaya hai kahin
kul-jahan muntazir hai kal ke liye
jitne sha'ir hain 'jaanifa' mere pas
utne mazmun hain ghazal ke liye
hum ko darkar ek shahzadi
dil ke sab se barin mahal ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.