koi titli nahin batati hai
koī titlī nahīñ batātī hai
terī ḳhushbū kahāñ se aatī hai
kyā huā dhuup agar satātī hai
chāñdnī bhī yahī banātī hai
ek bīmār aarzū dil meñ
roz ban-Than ke baiTh jaatī hai
ye mohabbat kā mai-kada hai yahāñ
pyaas hī pyaas ko bujhātī hai
ab nahīñ chauñktā huuñ maiñ ghar meñ
saare parde havā hilātī hai
mere kamre meñ ab bajā.e mere
terī tasvīr muskurātī hai
shikva-e-hijr par vo ye bole
'iid rozoñ ke baa'd aatī hai
zabt se peT jab nahīñ bhartā
to ġharībī usuul khātī hai
us makāñ kā charāġh huuñ 'fahmī'
jis kī jhāḌū havā lagātī hai
koi titli nahin batati hai
teri KHushbu kahan se aati hai
kya hua dhup agar satati hai
chandni bhi yahi banati hai
ek bimar aarzu dil mein
roz ban-Than ke baiTh jati hai
ye mohabbat ka mai-kada hai yahan
pyas hi pyas ko bujhati hai
ab nahin chaunkta hun main ghar mein
sare parde hawa hilati hai
mere kamre mein ab bajae mere
teri taswir muskuraati hai
shikwa-e-hijr par wo ye bole
'id rozon ke ba'd aati hai
zabt se peT jab nahin bharta
to gharibi usul khati hai
us makan ka charagh hun 'fahmi'
jis ki jhaDu hawa lagati hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 61)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.