koi to baat hai yarab hawa-e-ku-e-jaanan mein
koī to baat hai yārab havā-e-kū-e-jānāñ meñ
asīroñ ko zarā taskīn ho jaatī hai zindāñ meñ
yahāñ kī ḳhaak ḳhūn-e-be-gunah kā rang laatī hai
zarā dāman bachā kar aa.iye gor-e-ġharībāñ meñ
ye qad buuTā sā gul se gaal āñkheñ nargis-e-shahlā
javānī tum pe kyā aa.ī bahār aa.ī gulistāñ meñ
zamāne kī do-rañgī dekh kar jaltā hai jī kaisā
ki shabnam ro rahī hai phuul hañste haiñ gulistāñ meñ
jo dekho ġhaur se to chaar din kī zindagī kyā hai
faqat haiñ chand sāñseñ aur kyā rakhā hai insāñ meñ
na rotā hai kisī ke haal par koī na hañstā hai
baḌe ārām se sote haiñ sab gor-e-ġharībāñ meñ
sitam-ījād kis kis ko tire darbāñ jagā.eñge
mirī taqdīr bhī sotī hai mere saath zindāñ meñ
kareñge sajde jhuk jhuk kar butoñ ke pūjne vaale
sanam-ḳhāne kā lutf āye.gā 'safdar' mere dīvāñ meñ
koi to baat hai yarab hawa-e-ku-e-jaanan mein
asiron ko zara taskin ho jati hai zindan mein
yahan ki KHak KHun-e-be-gunah ka rang lati hai
zara daman bacha kar aaiye gor-e-ghariban mein
ye qad buTa sa gul se gal aankhen nargis-e-shahla
jawani tum pe kya aai bahaar aai gulistan mein
zamane ki do-rangi dekh kar jalta hai ji kaisa
ki shabnam ro rahi hai phul hanste hain gulistan mein
jo dekho ghaur se to chaar din ki zindagi kya hai
faqat hain chand sansen aur kya rakha hai insan mein
na rota hai kisi ke haal par koi na hansta hai
baDe aaram se sote hain sab gor-e-ghariban mein
sitam-ijad kis kis ko tere darban jagaenge
meri taqdir bhi soti hai mere sath zindan mein
karenge sajde jhuk jhuk kar buton ke pujne wale
sanam-KHane ka lutf aayega 'safdar' mere diwan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.