koi to baat kijiye sahab
koī to baat kījiye sāhab
duur ḳhadshāt kījiye sāhab
dil meñ hai aap kī ḳhushī kī talab
dil kī kyā baat kījiye sāhab
aap se āḳhirī ho yā ho pahlī
ik mulāqāt kījiye sāhab
hijr kī dhuup meñ na jalne deñ
pyaar kī raat kījiye sāhab
aap haiñ mehrbāñ bahut mere
kyoñ shikāyāt kījiye sāhab
maiñ ne dekhe haiñ dukh-o-sukh ke din
mujh se kyā baat kījiye sāhab
'fātima' zindagī guzar jaa.e
kyoñ madārat kījiye sāhab
koi to baat kijiye sahab
dur KHadshat kijiye sahab
dil mein hai aap ki KHushi ki talab
dil ki kya baat kijiye sahab
aap se aaKHiri ho ya ho pahli
ek mulaqat kijiye sahab
hijr ki dhup mein na jalne den
pyar ki raat kijiye sahab
aap hain mehrban bahut mere
kyon shikayat kijiye sahab
main ne dekhe hain dukh-o-sukh ke din
mujh se kya baat kijiye sahab
'fatima' zindagi guzar jae
kyon madarat kijiye sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.