koi to chahiye hum ko sahaara tere baad
koī to chāhiye ham ko sahārā tere ba.ad
udaas udaas rahā shahr saarā tere ba.ad
jo āsmāñ pe hamāre liye chamaktā thā
vo mujh se ruuTh gayā hai sitāra tere ba.ad
lagā ke zaḳhmoñ pe marham tumhārī yādoñ kā
kuchh aise dil ko mirī jaañ sañvārā tere ba.ad
tū saath thā to maiñ sab jheltā thā duniyā ko
kisī ke naaz karūñ kyuuñ gavāra tere ba.ad
hazāroñ log mire ḳhair-ḳhvāh the lekin
kisī ko bhī nahīñ maiñ ne pukārā tere ba.ad
'ḳhalīl' apne muqaddar meñ ab ḳhushī hī nahīñ
maiñ har kisī se laḌā aur haarā tere ba.ad
koi to chahiye hum ko sahaara tere baad
udas udas raha shahr sara tere baad
jo aasman pe hamare liye chamakta tha
wo mujh se ruTh gaya hai sitara tere baad
laga ke zaKHmon pe marham tumhaari yaadon ka
kuchh aise dil ko meri jaan sanwara tere baad
tu sath tha to main sab jhelta tha duniya ko
kisi ke naz karun kyun gawara tere baad
hazaron log mere KHair-KHwah the lekin
kisi ko bhi nahin main ne pukara tere baad
'KHalil' apne muqaddar mein ab KHushi hi nahin
main har kisi se laDa aur haara tere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.