koi to hai jo andheron mein bhi ujala hai
koī to hai jo añdheroñ meñ bhī ujālā hai
safar hayāt kā āsān karne vaalā hai
lahaktī shāḳh pe qaa.em hai āshiyāñ merā
sabā ne god meñ apnī mujhe sañbhālā hai
kiyā savāl to dil ne hameñ yuuñ bahlāyā
zarā sī der meñ mausam badalne vaalā hai
kareñ bhī zikr-e-vafā kis liye zamāne meñ
ye mudda'ā hī nahīñ kyoñ ise uchhālā hai
'atā hue haiñ hameñ ashk jo zamāne se
mire laboñ ne tabassum meñ un ko Dhālā hai
vo muddatoñ se nahīñ hai mirī nigāhoñ meñ
na jaane dil ne use kyoñ nahīñ nikālā hai
koi to hai jo andheron mein bhi ujala hai
safar hayat ka aasan karne wala hai
lahakti shaKH pe qaem hai aashiyan mera
saba ne god mein apni mujhe sanbhaala hai
kiya sawal to dil ne hamein yun bahlaya
zara si der mein mausam badalne wala hai
karen bhi zikr-e-wafa kis liye zamane mein
ye mudda'a hi nahin kyon ise uchhaala hai
'ata hue hain hamein ashk jo zamane se
mere labon ne tabassum mein un ko Dhaala hai
wo muddaton se nahin hai meri nigahon mein
na jaane dil ne use kyon nahin nikala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.