koi to ho jo usko rokne ka moajiza kare
koī to ho jo us ko rokne kā mo.ajiza kare
yā ho rahā hai jo vo koī ḳhvāb ho ḳhudā kare
kuchh āstīn tang thī to saañp ghuT ke mar ga.e
ḳhudā aziiz dostoñ ko maġhfirat atā kare
mujhe to ishq ke liye duā bhī nāgavār hai
diloñ ke biich kyoñ koī bhī aur fāsla kare
sunā hai us kī tīrgī pe note vārte haiñ log
hameñ bhī raushnī kā kuchh muāvza milā kare
kabhī mirī qasam hī khā ke mujh ko kuchh yaqīñ dilā
mujhe bhī merī zindagī kī ahmiyat lagā kare
pata chalā hai un kī kuhniyoñ meñ dard aa gayā
hamāre vāste duā meñ haath jo uThā kare
badan kī bhuuk kitnī baar ishq ko nigal ga.ī
magar havas kī aag kā jalā kahāñ bujhā kare
koi to ho jo us ko rokne ka moajiza kare
ya ho raha hai jo wo koi KHwab ho KHuda kare
kuchh aastin tang thi to sanp ghuT ke mar gae
KHuda aziz doston ko maghfirat ata kare
mujhe to ishq ke liye dua bhi nagawar hai
dilon ke bich kyon koi bhi aur fasla kare
suna hai us ki tirgi pe note warte hain log
hamein bhi raushni ka kuchh muawza mila kare
kabhi meri qasam hi kha ke mujh ko kuchh yaqin dila
mujhe bhi meri zindagi ki ahmiyat laga kare
pata chala hai un ki kuhniyon mein dard aa gaya
hamare waste dua mein hath jo uTha kare
badan ki bhuk kitni bar ishq ko nigal gai
magar hawas ki aag ka jala kahan bujha kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.