Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi to is ka ahl ho ye jam kis ko den

Om Krishn Rahat

koi to is ka ahl ho ye jam kis ko den

Om Krishn Rahat

MORE BYOm Krishn Rahat

    koī to is ahl ho ye jaam kis ko deñ

    do ghūñT bach ga.ī thī jo kal shaam kis ko deñ

    is apnī dauḌ-dhūp ilzām kis ko deñ

    tujh ko na deñ to gardish-e-ayyām kis ko deñ

    hamvār rāh-e-zīst ko karnā to hai zarūr

    ham se nipaT na paa.e to ye kaam kis ko deñ

    sab ne ghar apne māl-e-ġhanīmat se bhar liye

    sab mustahiq haiñ is ke to in.aam kis ko deñ

    barbādī-e-chaman meñ hamārā bhī haath hai

    mushkil ye aa paḌī hai ki ilzām kis ko deñ

    tujh ko ḳhudā samajh ke kahā thā ḳhudā magar

    ab hai bhalā ye jo tirā naam kis ko deñ

    sab hamāre yaar haiñ bhaa.ī haiñ aziiz

    ārām kis chhīn leñ ārām kis ko deñ

    'rāhat' tamām log bhale ho ga.e udhar

    lab pe jo aa chukī hai vo dushnām kis ko deñ

    koi to is ka ahl ho ye jam kis ko den

    do ghunT bach gai thi jo kal sham kis ko den

    is apni dauD-dhup ka ilzam kis ko den

    tujh ko na den to gardish-e-ayyam kis ko den

    hamwar rah-e-zist ko karna to hai zarur

    hum se nipaT na pae to ye kaam kis ko den

    sab ne ghar apne mal-e-ghanimat se bhar liye

    sab mustahiq hain is ke to inam kis ko den

    barbaadi-e-chaman mein hamara bhi hath hai

    mushkil ye aa paDi hai ki ilzam kis ko den

    tujh ko KHuda samajh ke kaha tha KHuda magar

    ab hai bhala sa ye jo tera nam kis ko den

    sab hi hamare yar hain bhai hain ya aziz

    aaram kis ka chhin len aaram kis ko den

    'rahat' tamam log bhale ho gae udhar

    lab pe jo aa chuki hai wo dushnam kis ko den

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now