Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi to kaam achchha rah gaya hai

Sayyed Riyaz Raheem

koi to kaam achchha rah gaya hai

Sayyed Riyaz Raheem

MORE BYSayyed Riyaz Raheem

    koī to kaam achchhā rah gayā hai

    hameñ bas yaad itnā rah gayā hai

    hameñ Dhonā hai lāshoñ ko musalsal

    yahī ik kaam apnā rah gayā hai

    mohabbat kam muravvat hai ziyāda

    vahāñ bas ānā-jānā rah gayā hai

    jo hai sab kuchh palaT saktā hai pal meñ

    kisī ik ishāra rah gayā hai

    bahut kuchh kaam ham sab kar chuke haiñ

    diloñ meñ ghar banānā rah gayā hai

    sabhī aise tamāshe ho chuke haiñ

    bas ik vaisā tamāshā rah gayā hai

    bahut tāḳhīr se ham ne ye jaanā

    zamīñ par kaam kaisā rah gayā hai

    alāmat zarūrat thī jahāñ par

    vahāñ bas isti.āra rah gayā hai

    zamīñ ko āsmāñ kaise banāte

    tasavvur meñ naqsha rah gayā hai

    hamārī āḳhirī ḳhvāhish na pūchho

    kisī ko kyā batānā rah gayā hai

    koi to kaam achchha rah gaya hai

    hamein bas yaad itna rah gaya hai

    hamein Dhona hai lashon ko musalsal

    yahi ek kaam apna rah gaya hai

    mohabbat kam murawwat hai ziyaada

    wahan bas aana-jaana rah gaya hai

    jo hai sab kuchh palaT sakta hai pal mein

    kisi ka ek ishaara rah gaya hai

    bahut kuchh kaam hum sab kar chuke hain

    dilon mein ghar banana rah gaya hai

    sabhi aise tamashe ho chuke hain

    bas ek waisa tamasha rah gaya hai

    bahut taKHir se hum ne ye jaana

    zamin par kaam kaisa rah gaya hai

    alamat ki zarurat thi jahan par

    wahan bas istiara rah gaya hai

    zamin ko aasman kaise banate

    tasawwur hi mein naqsha rah gaya hai

    hamari aaKHiri KHwahish na puchho

    kisi ko kya batana rah gaya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now