Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi to lafz sujhe tujhe jo ayan kare

Mohammad Javed Anwar

koi to lafz sujhe tujhe jo ayan kare

Mohammad Javed Anwar

koī to lafz sūjhe tujhe jo ayaañ kare

koī to kaifiyat mujhe puurā bayāñ kare

koī to tere husn ke laa.iq ho aa.ina

koī to jāñch kar tujhe sadr-e-jahāñ kare

koī mile to merī shab-e-ġham ho sahar

koī to nūr-e-vasl se phir sub.h yaañ kare

koī mile to jannat-e-gum-gashta pā.ūñ maiñ

koī to merā naam bhī vird-e-zabāñ kare

koī to mere qalb pe vārid ho misl-e-lauh

koī to ḳhatm dil meñ utar kar ḳhizāñ kare

koī to aa.e bād-e-bahārī ke sañg sañg

koī to merā qarya-e-dil gul-fishāñ kare

koī nigār-e-ġham meñ bane merā ham-rikāb

koī shikasta dard koh-e-girāñ kare

koī to chīḳh ho jo mirā dard kah sake

koī to pesh khol ke soz-e-nihāñ kare

koi to lafz sujhe tujhe jo ayan kare

koi to kaifiyat mujhe pura bayan kare

koi to tere husn ke laiq ho aaina

koi to jaanch kar tujhe sadr-e-jahan kare

koi mile to meri shab-e-gham ki ho sahar

koi to nur-e-wasl se phir subh yan kare

koi mile to jannat-e-gum-gashta paun main

koi to mera nam bhi wird-e-zaban kare

koi to mere qalb pe warid ho misl-e-lauh

koi to KHatm dil mein utar kar KHizan kare

koi to aae baad-e-bahaari ke sang sang

koi to mera qarya-e-dil gul-fishan kare

koi nigar-e-gham mein bane mera ham-rikab

koi shikasta dard ka koh-e-giran kare

koi to chiKH ho jo mera dard kah sake

koi to pesh khol ke soz-e-nihan kare

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now