koi to sarsari haDtal par hai
koī to sarsarī haḌtāl par hai
to koī mantiqī haḌtāl par hai
hamāre ġham hue haiñ itne abtar
hamārī har ḳhushī haḌtāl par hai
kisī kī laash be-gor-o-kafan hai
kisī kī zindagī haḌtāl par hai
koī daulat ke hāthoñ tang hai aur
kisī kī muflisī haḌtāl par hai
ḳhudā se chand māñgeñ haiñ hamārī
hamārī bandagī haḌtāl par hai
imāmat masjidoñ tak rah ga.ī hai
jabhī to muqtadī haḌtāl par hai
mashīnoñ par mashīneñ aa rahī haiñ
bechāra mistirī haḌtāl par hai
ye dukhiyāroñ kī bastī hai mirī jaañ
yahāñ har aadmī haḌtāl par hai
koi to sarsari haDtal par hai
to koi mantiqi haDtal par hai
hamare gham hue hain itne abtar
hamari har KHushi haDtal par hai
kisi ki lash be-gor-o-kafan hai
kisi ki zindagi haDtal par hai
koi daulat ke hathon tang hai aur
kisi ki muflisi haDtal par hai
KHuda se chand mangen hain hamari
hamari bandagi haDtal par hai
imamat masjidon tak rah gai hai
jabhi to muqtadi haDtal par hai
mashinon par mashinen aa rahi hain
bechaara mistiri haDtal par hai
ye dukhiyaron ki basti hai meri jaan
yahan har aadmi haDtal par hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.