koi to saughat uske shahr ki ghar le chalo
koī to sauġhāt us ke shahr kī ghar le chalo
kuchh nahīñ to jism par zaḳhmoñ kī chādar le chalo
pyaar ke bosīda phūloñ kī yahāñ qīmat nahīñ
shīsh-mahloñ se guzarnā hai to patthar le chalo
hoñge arbāb-e-tamāshā meñ kuchh ahl-e-dard bhī
chand aañsū bhī tabassum meñ chhupā kar le chalo
raat jab bhīgī to saa.e ne mujhe āvāz dī
maiñ hī tanhā.ī kā sāthī huuñ mujhe ghar le chalo
jaane kaise kaise sahrāoñ meñ ho apnā guzar
dosto āñkhoñ meñ ashkoñ kā samundar le chalo
dād-ḳhvāhī ko ye tanhā zaḳhm-e-sar kaafī nahīñ
munsifoñ ke paas patthar bhī uThā kar le chalo
der se sub.heñ khaḌī haiñ dar pe ā.īna-ba-dast
zindagī ko ab zarā ḳhvāboñ se bāhar le chalo
mujrim-e-haq shahr meñ mere sivā koī nahīñ
sang-andāzoñ kī bastī meñ mirā sar le chalo
raat us ke lams kī ḳhushbū ne chupke se kahā
yā yahīñ rah jaao tum bhī yā mujhe ghar le chalo
'tāhir' apne sar kisī kā ye bhī kyoñ ehsāñ rahe
apnī gardan ke liye ḳhud apnā ḳhanjar le chalo
koi to saughat us ke shahr ki ghar le chalo
kuchh nahin to jism par zaKHmon ki chadar le chalo
pyar ke bosida phulon ki yahan qimat nahin
shish-mahlon se guzarna hai to patthar le chalo
honge arbab-e-tamasha mein kuchh ahl-e-dard bhi
chand aansu bhi tabassum mein chhupa kar le chalo
raat jab bhigi to sae ne mujhe aawaz di
main hi tanhai ka sathi hun mujhe ghar le chalo
jaane kaise kaise sahraon mein ho apna guzar
dosto aankhon mein ashkon ka samundar le chalo
dad-KHwahi ko ye tanha zaKHm-e-sar kafi nahin
munsifon ke pas patthar bhi uTha kar le chalo
der se subhen khaDi hain dar pe aaina-ba-dast
zindagi ko ab zara KHwabon se bahar le chalo
mujrim-e-haq shahr mein mere siwa koi nahin
sang-andazon ki basti mein mera sar le chalo
raat us ke lams ki KHushbu ne chupke se kaha
ya yahin rah jao tum bhi ya mujhe ghar le chalo
'tahir' apne sar kisi ka ye bhi kyon ehsan rahe
apni gardan ke liye KHud apna KHanjar le chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.