koi to tha dhanak dhanak KHwab mein ya KHayal mein
koī to thā dhanak dhanak ḳhvāb meñ yā ḳhayāl meñ
rañg 'ajīb ghul ga.e kaifiyyat-e-malāl meñ
mohr thī mire nutq par tere laboñ kī naġhmagī
varna javāb the chhupe tere har ik savāl meñ
bol tū soch soch kar chal tū sambhal sambhal ke chal
kī hai bahut gulo kī baat ham ne tirī misāl meñ
sard dinoñ kī tarah gum ho ga.ī apnī zindagī
farq kahāñ rahā koī maah meñ aur saal meñ
mere rivāq-e-dil meñ tū chaltā thā kitne naaz se
aa ga.ī kaise ab lachak terī sabā sī chaal meñ
mere firāq meñ tirī 'umr Thahar ga.ī thī kyā
baal safed ho ga.e mere tire ḳhayāl meñ
mausam-e-tāza ho kabhī merī taraf bhī ik nazar
utre koī nayā parind mere ġhamoñ ke taal meñ
apne kināra kar na ab 'bāqar'-e-ḳhush-misāl se
be-hunarī sharīk thī us kī tire kamāl meñ
koi to tha dhanak dhanak KHwab mein ya KHayal mein
rang 'ajib ghul gae kaifiyyat-e-malal mein
mohr thi mere nutq par tere labon ki naghmagi
warna jawab the chhupe tere har ek sawal mein
bol tu soch soch kar chal tu sambhal sambhal ke chal
ki hai bahut gulo ki baat hum ne teri misal mein
sard dinon ki tarah gum ho gai apni zindagi
farq kahan raha koi mah mein aur sal mein
mere riwaq-e-dil mein tu chalta tha kitne naz se
aa gai kaise ab lachak teri saba si chaal mein
mere firaq mein teri 'umr Thahar gai thi kya
baal safed ho gae mere tere KHayal mein
mausam-e-taza ho kabhi meri taraf bhi ek nazar
utre koi naya parind mere ghamon ke tal mein
apne kinara kar na ab 'baqar'-e-KHush-misal se
be-hunari sharik thi us ki tere kamal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.