koi usko sada nahin deta
koī us ko sadā nahīñ detā
kyoñ vo apnā patā nahīñ detā
sun sako to sadā-e-dil sun lo
sāz-e-ulfat sadā nahīñ detā
dil meñ armāñ raheñ na hasrat-o-ġham
aisī koī duā nahīñ detā
dhuñdlā dhuñdlā hai aa.ina dil kā
koī us ko jilā nahīñ detā
hai kise ab majāl-e-dīd yahāñ
kyoñ vo parda uThā nahīñ detā
koī ġham-ḳhvār is zamāne meñ
zindagī kī duā nahīñ detā
kaisā 'aḳhtar'-shanās hai ai dil
kyoñ sahar kā patā nahīñ detā
koi us ko sada nahin deta
kyon wo apna pata nahin deta
sun sako to sada-e-dil sun lo
saz-e-ulfat sada nahin deta
dil mein arman rahen na hasrat-o-gham
aisi koi dua nahin deta
dhundla dhundla hai aaina dil ka
koi us ko jila nahin deta
hai kise ab majal-e-did yahan
kyon wo parda uTha nahin deta
koi gham-KHwar is zamane mein
zindagi ki dua nahin deta
kaisa 'aKHtar'-shanas hai ai dil
kyon sahar ka pata nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.