koi us se nahin kahta ki ye kya bewafai hai
koi us se nahin kahta ki ye kya bewafai hai
Sardar Genda Singh Mashriqi
MORE BYSardar Genda Singh Mashriqi
koī us se nahīñ kahtā ki ye kyā bevafā.ī hai
churā kar dil mirā ab aañkh bhī apnī churā.ī hai
uTho ai mai-kasho ābād mai-ḳhāna kareñ chal kar
zarā dekho to kyā kaalī ghaTā ghanghor chhā.ī hai
butoñ ke ishq se ham baaz aa.e haiñ na ā.eñge
nahīñ parvā hameñ dushman agar saarī ḳhudā.ī hai
nashāt-e-dil ko dushman ke banā.eñge usī se ham
vo kahte haiñ tirī āh-e-rasā terā havā.ī hai
bigaḌ kar ġhair se tum aa.e ho ham ye samajhte haiñ
hamāre sāmne be-vaj.h kyuuñ sūrat banā.ī hai
har ik mushkil se mushkil kaam bantā hai banāne se
magar bigḌī huī qismat kisī ne kab banā.ī hai
ḳhabar sun kar mire marne kī vo kahne lage hañs kar
kisī dushman ne shāyad ye ḳhabar jhūTī uḌaa.ī hai
guloñ ko naġhma-e-bulbul sunā.ī tak nahīñ detā
tire dīvānoñ ne vo dhuum gulshan meñ machā.ī hai
dil-e-āshiq meñ ho ai 'mashriqī' gar jazb-e-dil kāmil
vo but phir kyuuñ na maa.il ho koī ghar kī ḳhudā.ī hai
koi us se nahin kahta ki ye kya bewafai hai
chura kar dil mera ab aankh bhi apni churai hai
uTho ai mai-kasho aabaad mai-KHana karen chal kar
zara dekho to kya kali ghaTa ghanghor chhai hai
buton ke ishq se hum baz aae hain na aaenge
nahin parwa hamein dushman agar sari KHudai hai
nashat-e-dil ko dushman ke banaenge usi se hum
wo kahte hain teri aah-e-rasa tera hawai hai
bigaD kar ghair se tum aae ho hum ye samajhte hain
hamare samne be-wajh kyun surat banai hai
har ek mushkil se mushkil kaam banta hai banane se
magar bigDi hui qismat kisi ne kab banai hai
KHabar sun kar mere marne ki wo kahne lage hans kar
kisi dushman ne shayad ye KHabar jhuTi uDai hai
gulon ko naghma-e-bulbul sunai tak nahin deta
tere diwanon ne wo dhum gulshan mein machai hai
dil-e-ashiq mein ho ai 'mashriqi' gar jazb-e-dil kaamil
wo but phir kyun na mail ho koi ghar ki KHudai hai
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 88)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.