koi wada tera wafa hona
koī va.ada tirā vafā honā
din meñ tāroñ kā rūnumā honā
kuchh bhī dekho magar zabāñ na khule
kitnā mushkil hai aa.ina honā
manziloñ kī talāsh ba.ad meñ hai
chāhiye pahle hausla honā
husn-e-jānāñ ke zikr hī se hai
kuchh ġhazal meñ nayā nayā honā
kuchh taqāze bhī haiñ mohabbat ke
kuchh to andāz-e-dil-rubā honā
koi wada tera wafa hona
din mein taron ka runuma hona
kuchh bhi dekho magar zaban na khule
kitna mushkil hai aaina hona
manzilon ki talash baad mein hai
chahiye pahle hausla hona
husn-e-jaanan ke zikr hi se hai
kuchh ghazal mein naya naya hona
kuchh taqaze bhi hain mohabbat ke
kuchh to andaz-e-dil-ruba hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.