koi wada na denge dan mein kya
koī va.adā na deñge daan meñ kyā
jhuuT tak ab nahīñ zabān meñ kyā
merī hālat pe aañkh meñ aañsū
dard dar aayā kuchh chaTān meñ kyā
kyuuñ jhijhaktā hai baat kahne meñ
jhuuT hai kuchh tire bayān meñ kyā
sach adālat meñ kyuuñ nahīñ bole
kāñTe ug aa.e the zabān meñ kyā
raat din suntā huuñ tirī aahaT
naqs paidā huā hai kaan meñ kyā
mujh pe tū zulm kyuuñ nahīñ kartā
ab nahīñ huuñ tirī amaan meñ kyā
tū to rahtā hai dhyān meñ mere
maiñ bhī rahtā huuñ tire dhyān meñ kyā
vahī chehra nazar nahīñ aatā
dhuul uḌne lagī jahān meñ kyā
koi wada na denge dan mein kya
jhuT tak ab nahin zaban mein kya
meri haalat pe aankh mein aansu
dard dar aaya kuchh chaTan mein kya
kyun jhijhakta hai baat kahne mein
jhuT hai kuchh tere bayan mein kya
sach adalat mein kyun nahin bole
kanTe ug aae the zaban mein kya
raat din sunta hun teri aahaT
naqs paida hua hai kan mein kya
mujh pe tu zulm kyun nahin karta
ab nahin hun teri aman mein kya
tu to rahta hai dhyan mein mere
main bhi rahta hun tere dhyan mein kya
wahi chehra nazar nahin aata
dhul uDne lagi jahan mein kya
- Book : Sare waraq tumhare (Pg. 2)
- Author : Tufail Chaturvedi
- Publication : National Publishing House (Tufail Chaturvedi)
- Edition : Tufail Chaturvedi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.