koi waqia ho ya hadisa kahun kaise main ki bura hua
koī vāqi'a ho yā hādisa kahūñ kaise maiñ ki burā huā
ki kahīñ bhī kuchh bhī kabhī bhī kyā hai binā ḳhudā kī razā huā
mirā jurm maiñ ne chhupā liyā bhale hī tamām jahān se
paḌā bojh aisā zamīr par ki gunāh ḳhud hai sazā huā
na kisī ne dekhī shaguftagī na kisī ne us kā zavāl hī
vo jo phuul haa.e ujaaḌ meñ khilā aur khil ke fanā huā
ye jo maañg maañg ke ḳhil.ateñ mire dost tū ne baTor liiñ
tirā martaba bhale baḌh gayā tirā qad kahāñ hai baḌā huā
rahīñ raunaqeñ 'sadā' raunaqeñ mire ranj-o-ġham ke dayār meñ
bharā ek zaḳhm agar kabhī to ik aur zaḳhm harā huā
koi waqi'a ho ya hadisa kahun kaise main ki bura hua
ki kahin bhi kuchh bhi kabhi bhi kya hai bina KHuda ki raza hua
mera jurm main ne chhupa liya bhale hi tamam jahan se
paDa bojh aisa zamir par ki gunah KHud hai saza hua
na kisi ne dekhi shaguftagi na kisi ne us ka zawal hi
wo jo phul hae ujaD mein khila aur khil ke fana hua
ye jo mang mang ke KHilaten mere dost tu ne baTor lin
tera martaba bhale baDh gaya tera qad kahan hai baDa hua
rahin raunaqen 'sada' raunaqen mere ranj-o-gham ke dayar mein
bhara ek zaKHm agar kabhi to ek aur zaKHm hara hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.