koi wasta moatabar bhi nahin hai
koī vāsta mo'atabar bhī nahīñ hai
nahīñ yuuñ hai ki dīvār-o-dar bhī nahīñ
nadāmat ke in āsmānoñ ke nīche
ḳhalāoñ se jā-e-mafar bhī nahīñ hai
koī mujh meñ aaseb sā bas gayā hai
kujā chehra merā to sar bhī nahīñ hai
miTe rañg-o-bū justujū silsile sab
bayābāñ meñ titlī kā par bhī nahīñ hai
udāsī ke andhe safar meñ milā kyā
yahāñ shab nahīñ hai sahar bhī nahīñ hai
koi wasta mo'atabar bhi nahin hai
nahin yun hai ki diwar-o-dar bhi nahin
nadamat ke in aasmanon ke niche
KHalaon se ja-e-mafar bhi nahin hai
koi mujh mein aaseb sa bas gaya hai
kuja chehra mera to sar bhi nahin hai
miTe rang-o-bu justuju silsile sab
bayaban mein titli ka par bhi nahin hai
udasi ke andhe safar mein mila kya
yahan shab nahin hai sahar bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.