koi ye lakh kahe mere banane se mila
koī ye laakh kahe mere banāne se milā
har nayā rañg zamāne ko purāne se milā
fikr har baar ḳhamoshī se milī hai mujh ko
aur zamāna ye mujhe shor machāne se milā
us kī taqdīr añdheroñ ne likhī thī shāyad
vo ujālā jo charāġhoñ ko bujhāne se milā
pūchhte kyā ho milā kaise ye jañgal ko tilism
chhāñv meñ dhuup kī rañgat ko milāne se milā
aur logoñ se mulāqāt kahāñ mumkin thī
vo to ḳhud se bhī milā hai to bahāne se milā
merī tashkīl to kuchh aur huī thī 'dānish'
ye nayā naqsh mujhe ḳhud ko miTāne se milā
koi ye lakh kahe mere banane se mila
har naya rang zamane ko purane se mila
fikr har bar KHamoshi se mili hai mujh ko
aur zamana ye mujhe shor machane se mila
us ki taqdir andheron ne likhi thi shayad
wo ujala jo charaghon ko bujhane se mila
puchhte kya ho mila kaise ye jangal ko tilism
chhanw mein dhup ki rangat ko milane se mila
aur logon se mulaqat kahan mumkin thi
wo to KHud se bhi mila hai to bahane se mila
meri tashkil to kuchh aur hui thi 'danish'
ye naya naqsh mujhe KHud ko miTane se mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.