koi ye zahid se ja ke kah de ki rasm ulTi shabab ki hai
koi ye zahid se ja ke kah de ki rasm ulTi shabab ki hai
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
koī ye zāhid se jā ke kah de ki rasm ulTī shabāb kī hai
savāb meñ hai gunah kī lazzat gunah meñ lazzat savāb kī hai
ruḳh-e-munavvar pe dar-haqīqat misāl aisī naqāb kī hai
mah-e-do-hafta ke rū-e-raushan pe jaise chādar sahāb kī hai
kuchh aisī tauba-shikan har ik baat us but-e-lā-javāb kī hai
hai gesuoñ meñ ghaTā kā aalam nazar meñ mastī sharāb kī hai
in āñsuoñ ko gila na samjho ye dil se tañg aa ke gir rahe haiñ
isī ne rusvā kiyā hai har sū isī ne miTTī ḳharāb kī hai
yahī vo kuuza hai dil ki rahte haiñ band jis meñ hazār dariyā
yahī vo zarra hai dar-haqīqat ki jis meñ zau āftāb kī hai
naqāb rū-e-hasīñ uThā kar na is tarah ham ko bhuul jaao
murādeñ dil kī bhī puurī kar do agar nazar kāmyāb kī hai
kahāñ kī jannat kidhar kā dozaḳh kidhar kī duniyā kahāñ kā uqbā
ye sab fasāna ye sab kahānī 'sahar' faqat shaiḳh o shabāb kī hai
koi ye zahid se ja ke kah de ki rasm ulTi shabab ki hai
sawab mein hai gunah ki lazzat gunah mein lazzat sawab ki hai
ruKH-e-munawwar pe dar-haqiqat misal aisi naqab ki hai
mah-e-do-hafta ke ru-e-raushan pe jaise chadar sahab ki hai
kuchh aisi tauba-shikan har ek baat us but-e-la-jawab ki hai
hai gesuon mein ghaTa ka aalam nazar mein masti sharab ki hai
in aansuon ko gila na samjho ye dil se tang aa ke gir rahe hain
isi ne ruswa kiya hai har su isi ne miTTi KHarab ki hai
yahi wo kuza hai dil ki rahte hain band jis mein hazar dariya
yahi wo zarra hai dar-haqiqat ki jis mein zau aaftab ki hai
naqab ru-e-hasin uTha kar na is tarah hum ko bhul jao
muraden dil ki bhi puri kar do agar nazar kaamyab ki hai
kahan ki jannat kidhar ka dozaKH kidhar ki duniya kahan ka uqba
ye sab fasana ye sab kahani 'sahar' faqat shaiKH o shabab ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.