koi zanjir karta ja raha hai
koī zanjīr kartā jā rahā hai
mujhe tasḳhīr kartā jā rahā hai
girāyā jis ne ham ko avval avval
vahī ta.amīr kartā jā rahā hai
koī nāzir na sāme.a hai magar dil
yūñhī taqrīr kartā jā rahā hai
muāfī do use nādāñ samajh kar
ki dil taqsīr kartā jā rahā hai
hadīs-e-dil purānī hai magar vo
na.ī tafsīr kartā jā rahā hai
suḳhan hī kā vazīfa ham ko 'āzād'
murīd-e-'mīr' kartā jā rahā hai
koi zanjir karta ja raha hai
mujhe tasKHir karta ja raha hai
giraya jis ne hum ko awwal awwal
wahi tamir karta ja raha hai
koi nazir na samea hai magar dil
yunhi taqrir karta ja raha hai
muafi do use nadan samajh kar
ki dil taqsir karta ja raha hai
hadis-e-dil purani hai magar wo
nai tafsir karta ja raha hai
suKHan hi ka wazifa hum ko 'azad'
murid-e-'mir' karta ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.