koi zarra jo dil ki KHak ka barbaad hota hai
koī zarra jo dil kī ḳhaak kā barbād hotā hai
jahān-e-ishq meñ shor-e-mubārakbād hotā hai
na pūchho kyā surūr-e-lazzat-e-bedād hotā hai
jab āġhosh-e-mohabbat meñ dil-e-nāshād hotā hai
ḳhudā jaane ye kyā dām-e-balā hai gulshan-e-hastī
jidhar parvāz kartā huuñ udhar sayyād hotā hai
ye dars-e-ishq bhī kaisā anokhā daras hai yā-rab
ki jitnā bhūltā jaatā huuñ utnā yaad hotā hai
jo terī yaad meñ girtā hai ban kar gauhar-e-maqsad
vahī ashk-e-mohabbat hāsil-e-rūdād hotā hai
koī shorīda-sar pāband-e-zindāñ ho nahīñ saktā
bagūla apnī zanjīroñ meñ bhī āzād hotā hai
jo 'vahshī' kī tarah hotā hai pāband-e-ġham-e-jānāñ
vahī to bas ġham-e-daurāñ se bhī āzād hotā hai
koi zarra jo dil ki KHak ka barbaad hota hai
jahan-e-ishq mein shor-e-mubarakbaad hota hai
na puchho kya surur-e-lazzat-e-bedad hota hai
jab aaghosh-e-mohabbat mein dil-e-nashad hota hai
KHuda jaane ye kya dam-e-bala hai gulshan-e-hasti
jidhar parwaz karta hun udhar sayyaad hota hai
ye dars-e-ishq bhi kaisa anokha daras hai ya-rab
ki jitna bhulta jata hun utna yaad hota hai
jo teri yaad mein girta hai ban kar gauhar-e-maqsad
wahi ashk-e-mohabbat hasil-e-rudad hota hai
koi shorida-sar paband-e-zindan ho nahin sakta
bagula apni zanjiron mein bhi aazad hota hai
jo 'wahshi' ki tarah hota hai paband-e-gham-e-jaanan
wahi to bas gham-e-dauran se bhi aazad hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.