koi zauq-e-nazar hone laga hai
koī zauq-e-nazar hone lagā hai
bahut āsāñ safar hone lagā hai
kahāñ se lāoge tum maañ kī mamtā
agar pardes ghar hone lagā hai
sambhālo ab to is bīmār ko tum
fasāna muḳhtasar hone lagā hai
mire alfāz zau dene lage haiñ
ġhazal kahnā hunar hone lagā hai
vo pahle Tas-se-mas hotā nahīñ thā
agar se ab magar hone lagā hai
laboñ par ab hai us ke muskurāhaT
duāoñ kā asar hone lagā hai
chalo 'jāzib' bachā kar apnā dāman
vo rasta rahguzar hone lagā hai
koi zauq-e-nazar hone laga hai
bahut aasan safar hone laga hai
kahan se laoge tum man ki mamta
agar pardes ghar hone laga hai
sambhaalo ab to is bimar ko tum
fasana muKHtasar hone laga hai
mere alfaz zau dene lage hain
ghazal kahna hunar hone laga hai
wo pahle Tas-se-mas hota nahin tha
agar se ab magar hone laga hai
labon par ab hai us ke muskurahaT
duaon ka asar hone laga hai
chalo 'jazib' bacha kar apna daman
wo rasta rahguzar hone laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.