koi zawal nahin is zawal ke aage
koī zavāl nahīñ is zavāl ke aage
junūb aane lagā hai shumāl ke aage
vo husn hai kī zuleḳhā sā 'ishq ho jaa.e
jamāl phīkā hai us ke jamāl ke aage
subūt aur bhī haiñ is bayān ke pīchhe
savāl aur bhī haiñ is savāl ke aage
jagah nahīñ thī masānoñ meñ qabr-gāhoñ meñ
avaam martī rahī aspatāl ke aage
hamārā vasl abhī aur vaqt maañg rahā
safar tamām nahīñ intiqāl ke aage
use gumān thā talvār jang jītegī
shikasta ho ga.ī talvār Dhaal ke aage
misāl 'ishq kī ab tak jo dī ga.ī thī 'kāf'
badal ga.ī hai hamārī misāl ke aage
koi zawal nahin is zawal ke aage
junub aane laga hai shumal ke aage
wo husn hai ki zuleKHa sa 'ishq ho jae
jamal phika hai us ke jamal ke aage
subut aur bhi hain is bayan ke pichhe
sawal aur bhi hain is sawal ke aage
jagah nahin thi masanon mein qabr-gahon mein
awam marti rahi aspatal ke aage
hamara wasl abhi aur waqt mang raha
safar tamam nahin intiqal ke aage
use guman tha talwar jang jitegi
shikasta ho gai talwar Dhaal ke aage
misal 'ishq ki ab tak jo di gai thi 'kaf'
badal gai hai hamari misal ke aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.