konpal kahin phuTi hai to TuTi kahin Dali
koñpal kahīñ phūTī hai to TuuTī kahīñ Daalī
hai jashn kisī baaġh meñ ro.e kahīñ maalī
uTThā hai kisī ghar ke ahāte se janāza
shādī kī kisī ne kahīñ bārāt nikālī
hotā hai amīroñ ke yahāñ roz charāġhāñ
muflis kī koī iid na holī na divālī
tarse koī roTī ke nivāle ke liye bhī
daulat kisī kī itnī ki jaa.e na sañbhālī
hikmat kaheñ is ko ki hukūmat kī himāqat
gandum saḌe godām meñ aur peT haiñ ḳhālī
ai kātib-e-qismat tirī taqsīm ajab hai
ai mālik-e-duniyā tirī duniyā hai nirālī
konpal kahin phuTi hai to TuTi kahin Dali
hai jashn kisi bagh mein roe kahin mali
uTTha hai kisi ghar ke ahate se janaza
shadi ki kisi ne kahin baraat nikali
hota hai amiron ke yahan roz charaghan
muflis ki koi id na holi na diwali
tarse koi roTi ke niwale ke liye bhi
daulat kisi ki itni ki jae na sanbhaali
hikmat kahen is ko ki hukumat ki himaqat
gandum saDe godam mein aur peT hain KHali
ai katib-e-qismat teri taqsim ajab hai
ai malik-e-duniya teri duniya hai nirali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.