kora kaghaz udas hai shayad
korā kāġhaz udaas hai shāyad
us ko lafzoñ kī aas hai shāyad
aaj dariyā kī hai talab mujh ko
ek muddat kī pyaas hai shāyad
jaan us ne ḳhushī se de Daalī
us kā qātil bhī ḳhaas hai shāyad
zahr piite haiñ haath se us ke
us ke lab par miThās hai shāyad
jaañ hathelī pe thī mirī kal tak
jaan ab tere paas hai shāyad
sher 'shamsher' aise kahtā hai
'umr us kī pachās hai shāyad
kora kaghaz udas hai shayad
us ko lafzon ki aas hai shayad
aaj dariya ki hai talab mujh ko
ek muddat ki pyas hai shayad
jaan us ne KHushi se de Dali
us ka qatil bhi KHas hai shayad
zahr pite hain hath se us ke
us ke lab par miThas hai shayad
jaan hatheli pe thi meri kal tak
jaan ab tere pas hai shayad
sher 'shamsher' aise kahta hai
'umr us ki pachas hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.