koshish-e-tark-e-talluq ne rulaya hai bahut
koshish-e-tark-e-talluq ne rulaya hai bahut
Khaleel Farhat Karanjavi
MORE BYKhaleel Farhat Karanjavi
koshish-e-tark-e-ta.alluq ne rulāyā hai bahut
bhūlnā chāhā jab us ko yaad aayā hai bahut
hai amal ke ba.ad hī dast-e-duā kā marhala
ham ne ai vaa.iz ḳhudā ko āzmāyā hai bahut
ik tabassum ke liye sau baar āñkheñ nam huiiñ
zindagī ai zindagī tū ne rulāyā hai bahut
dostoñ ne jab hameñ luuTā vafā ke naam par
dushmanoñ kī dushmanī par pyaar aayā hai bahut
sar uThā kar chilchilātī dhuup meñ kiije safar
sar jhukā leñ to ghane peḌoñ kā saayā hai bahut
DhūñDne jaa.eñ sukūn-e-dil kahāñ 'farhat' ki ab
vahshatoñ kā har galī-kūche meñ saayā hai bahut
koshish-e-tark-e-talluq ne rulaya hai bahut
bhulna chaha jab us ko yaad aaya hai bahut
hai amal ke baad hi dast-e-dua ka marhala
hum ne ai waiz KHuda ko aazmaya hai bahut
ek tabassum ke liye sau bar aankhen nam huin
zindagi ai zindagi tu ne rulaya hai bahut
doston ne jab hamein luTa wafa ke nam par
dushmanon ki dushmani par pyar aaya hai bahut
sar uTha kar chilchilati dhup mein kije safar
sar jhuka len to ghane peDon ka saya hai bahut
DhunDne jaen sukun-e-dil kahan 'farhat' ki ab
wahshaton ka har gali-kuche mein saya hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.